Passbook Q&A

 


Question : new bank ac kola passbook kab tak aayega ?

Question : new bank account ka passbook kab tak aayega ?

Answer : Aaj kal naya bank account khulwane par adhiktar bank me ek ready kit dete hain, jisme passbook, ATM, Cheque book, Welcome letter ye sab diya rahta hai. Lekin agar aapko ready kit nahi mili hai to bank by post aapko ye documents aapke address par bhej degi.

 

Question : Bank passbook lost application format in Hindi ?

Answer : Here is the application you should send after signing –

सेवा में,

      शाखा प्रबंधक

      (बैंक का नाम)

      (बैंक शाखा का पता)

 

विषय- बैंक पासबुक खो जाने के सम्बन्ध में

 

महोदय,

      मेरा नाम ...................................... है, मेरा खाता (खाता संख्या ..........................) आपको शाखा में है | मै आपको सूचित करना चाहता हूँ कि मेरी बैंक पासबुक कहीं खो गयी है अतः आपसे निवेदन है कि मुझे दोबारा पासबुक प्रदान करने की कृपा करें |

 

      धन्यवाद् !

प्रार्थी

नाम-....................

खाता सं०-....................

मो० न०-....................

 

 

Question : passbook ka paisa dhekna haya ?

Answer : agar aapko ye pata karne hai ki khate me kitna paisa jama hai to aapko bank jakar passbook print karwani padegi. Agar aap bank nh jana chahte hain to apne registered mobile number se ek number par miss call dekar apne khate me jama paise pata kar sakte hain. Miss call dekar Khate me jama paise janane ke liye har bank ka number alag alag hota hai. Aap apni bank ka number jaanane ke liye google kar sakte hain.

 

Question : Your scanned bank pass book is invisible for verification of scholarship what I have to do?

Answer : If your scanned bank pass book is not clearly visible then you can make it clear by changing contrast and brightness of scanned copy. But if still its not clear then you should contact bank to re-issue bank pass book.

 

Question : bank ki passbook ki detail janna chahte apni ?

Answer : bank passbook khate me jama rupaye jaanane ke liye aapko bank jakar passbook update karwani padegi.

 

Question : canara bank ki passbook me minimum kitne paise hona jaruri h ?

Answer : Minimum balance bank se nahi balki khate ke type par depend karta hai. Agar aapka khata zero balance wala hai to to aapko kuchh bhi maintain karne ki zaroorat nh hai. Adhiktar bachat khaton me minimum balance 1000 rakhna hota hai. Apne khate ke minimum balance ke bare me jaanane ke liye apni bank se contact karen.

 

Question : my passbook and mobile chori ho gya kya aadhar card se account number nhi pata chelega ?

Answer : nahi aadhar card se mobile number nahi pata kiya ja sakta hai lekin aap apni passbook aur mobile chori hone ki FIR likhwaye aur uski ek copy ke sath application bank me jama karen to aapko doosri bank passbook issue kar di jayegi.

 

Question : main apne passbook ka password janna chahta hun?

Answer : Bank passbook ka koi password nahi hota hai. Agar aap mobile application wale passbook ka password jaanana chahte hain to iske liye aapko Mobile banking me register karna padega. Wahah par aapko apne khat eke len den ki saari jankari uplabdh ho jayegi.

 

Question : purani bank passbook ka kya kare ?

Answer : purani passbook aapkisambhal kar rakhni chahiye kyonki bhavishya me kabhi bi iski zaroorat pad sakti hai. Lekin agar aap net banking aur mobile banking ka istemal karte hai to iski koi khas zarooorat nh hai.

 

Question : bank ki passbook se phone pay ya paytm or google pay kaise banaye debit card nhi h?

Answer : bina ATM kea ap phonePe, PayTm, google pay me account nahi bana sakte hain. Iske liye aapki ATM card banwana padega.

Question : How to find Olivetti passbook printer serial number?

Answer : Open your printer as shown in image and look for a bar code, that bar code will be your printer’s serial number.



Comments